yaad phir bhuli hui ek kahani aai
yaad phir bhūlī huī ek kahānī aa.ī
dil huā ḳhuun tabī.at meñ ravānī aa.ī
sub.h-e-nau naġhma-ba-lab hai magar ai Dūbtī raat
mere hisse meñ tirī marsiya-ḳhvānī aa.ī
zard-rū thā kisī sadme se ubhartā sūraj
ye ḳhabar Dūbte tāroñ kī zabānī aa.ī
har na.ī rut meñ ham afsurda o dil-gīr rahe
yā to guzre hue mausam kī javānī aa.ī
pā ga.e zindagi-e-nau ka.ī miTte hue rañg
zehn meñ jab koī tasvīr purānī aa.ī
ḳhushk pattoñ ko chaman se ye samajh kar chun lo
haath shādābi-e-rafta kī nishānī aa.ī
yaad kā chāñd jo ubhrā to ye āñkheñ huiiñ nam
ġham kī Thahrī huī naddī meñ ravānī aa.ī
dil ba-zāhir hai subuk-dosh-e-tamannā 'maḳhmūr'
phir tabī.at meñ kahāñ kī ye girānī aa.ī
yaad phir bhuli hui ek kahani aai
dil hua KHun tabiat mein rawani aai
subh-e-nau naghma-ba-lab hai magar ai Dubti raat
mere hisse mein teri marsiya-KHwani aai
zard-ru tha kisi sadme se ubharta suraj
ye KHabar Dubte taron ki zabani aai
har nai rut mein hum afsurda o dil-gir rahe
ya to guzre hue mausam ki jawani aai
pa gae zindagi-e-nau kai miTte hue rang
zehn mein jab koi taswir purani aai
KHushk patton ko chaman se ye samajh kar chun lo
hath shadabi-e-rafta ki nishani aai
yaad ka chand jo ubhra to ye aankhen huin nam
gham ki Thahri hui naddi mein rawani aai
dil ba-zahir hai subuk-dosh-e-tamanna 'maKHmur'
phir tabiat mein kahan ki ye girani aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.