yaad rakhte kis tarah qisse kahani log the
Interesting Fact
Vol 103, March-April 1977
yaad rakhte kis tarah qisse kahānī log the
vo yahāñ ke the nahīñ vo āsmānī log the
sūkhe peḌoñ kī qatāreñ roktīñ kab tak unheñ
uḌ ga.e karte bhī kyā barg-e-ḳhizānī log the
zindagī āñkhoñ pe rakh kar haath pīchhe chhup ga.ī
darmiyāñ rah kar bhī sab ke āñ-jahānī log the
kal yahīñ par lahlahātī thiiñ hañsī kī khetiyāñ
kal yahīñ par kaise kaise za.afrānī log the
TuuT kar bikhre hue haiñ qurbatoñ ke silsile
chhup ga.e jaane kahāñ jo darmiyānī log the
ḳhushk miTTī ban ga.e to būñdiyāñ nahlā ga.iiñ
aur hameñ kyā chāhiye thā aag paanī log the
yaad rakhte kis tarah qisse kahani log the
wo yahan ke the nahin wo aasmani log the
sukhe peDon ki qataren roktin kab tak unhen
uD gae karte bhi kya barg-e-KHizani log the
zindagi aankhon pe rakh kar hath pichhe chhup gai
darmiyan rah kar bhi sab ke aan-jahani log the
kal yahin par lahlahati thin hansi ki khetiyan
kal yahin par kaise kaise zafrani log the
TuT kar bikhre hue hain qurbaton ke silsile
chhup gae jaane kahan jo darmiyani log the
KHushk miTTi ban gae to bundiyan nahla gain
aur hamein kya chahiye tha aag pani log the
- Book : Shabkhoon (Urdu Monthly) (Pg. 1479)
- Author : Shamsur Rahman Faruqi
- Publication : Shabkhoon Po. Box No.13, 313 rani Mandi Allahabad (June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II)
- Edition : June December 2005áIssue No. 293 To 299âPart II
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.