yaad taza teri karne kuchh wasile rah gae
yaad taaza terī karne kuchh vasīle rah ga.e
gir ga.ī dīvār se tasvīr kiile rah ga.e
halq tar bhī na huā thā muñh se sāġhar chhin gayā
ham vo pyāse haiñ ki jin ke hoñT giile rah ga.e
phuul chun kar le gayā sab koī apnā mehrbāñ
baaġh meñ ummīd ke kāñTe nukīle rah ga.e
umr kī vaadī meñ dukh kī ret phailāne ke baad
dard ke sahrā meñ phir do-chār Tiile rah ga.e
ḳhanjar-e-abrū ne 'kāshif' zindagī kar dī tamām
zaḳhm khā kar ārzūoñ ke qabīle rah ga.e
yaad taza teri karne kuchh wasile rah gae
gir gai diwar se taswir kile rah gae
halq tar bhi na hua tha munh se saghar chhin gaya
hum wo pyase hain ki jin ke honT gile rah gae
phul chun kar le gaya sab koi apna mehrban
bagh mein ummid ke kanTe nukile rah gae
umr ki wadi mein dukh ki ret phailane ke baad
dard ke sahra mein phir do-chaar Tile rah gae
KHanjar-e-abru ne 'kashif' zindagi kar di tamam
zaKHm kha kar aarzuon ke qabile rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.