yaad teri falak-e-pir liye baiThe hain
Interesting Fact
Penned exclusively for a Mushaira held at Syed Jarar Haider's residence (Advocate Allahabad High Court)
yaad terī falak-e-pīr liye baiThe haiñ
shikva-e-gardish-e-taqdīr liye baiThe haiñ
be-asar nāla-e-shab-gīr liye baiThe haiñ
ek TuuTī huī zanjīr liye baiThe haiñ
mus.haf-e-husn kī tafsīr liye baiThe haiñ
dil meñ ham aap kī tasvīr liye baiThe haiñ
jaane kab munhadim arkān-e-anāsir ho jaa.eñ
ret par jism kī ta.amīr liye baiThe haiñ
us ne duzdīda nigāhoñ se kabhī dekhā thā
dil meñ ab tak ḳhalish-e-tīr liye baiThe haiñ
naqsh-bar-āb hai dar-asl habāb-e-hastī
kab ye mumkin hai jo ta.amīr liye baiThe haiñ
ek hī aah meñ barham hai nizām-e-ālam
apne nāloñ meñ vo tāsīr liye baiThe haiñ
zindagī maut hai aur maut hayāt-e-jāved
ḳhvāb-e-hastī kī ye ta.abīr liye baiThe haiñ
daur-e-hāzir meñ ġhanīmat hai bahut ai 'sho.ala'
aap jo izzat-o-tauqīr liye baiThe haiñ
yaad teri falak-e-pir liye baiThe hain
shikwa-e-gardish-e-taqdir liye baiThe hain
be-asar nala-e-shab-gir liye baiThe hain
ek TuTi hui zanjir liye baiThe hain
mushaf-e-husn ki tafsir liye baiThe hain
dil mein hum aap ki taswir liye baiThe hain
jaane kab munhadim arkan-e-anasir ho jaen
ret par jism ki tamir liye baiThe hain
us ne duzdida nigahon se kabhi dekha tha
dil mein ab tak KHalish-e-tir liye baiThe hain
naqsh-bar-ab hai dar-asl habab-e-hasti
kab ye mumkin hai jo tamir liye baiThe hain
ek hi aah mein barham hai nizam-e-alam
apne nalon mein wo tasir liye baiThe hain
zindagi maut hai aur maut hayat-e-jawed
KHwab-e-hasti ki ye tabir liye baiThe hain
daur-e-hazir mein ghanimat hai bahut ai 'shoala'
aap jo izzat-o-tauqir liye baiThe hain
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 83)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.