yaad teri siyah raaton mein
yaad terī siyāh rātoñ meñ
hai farozāñ hamārī nazroñ meñ
maiñ ne un se kiyā thā ek savāl
us kā aaya javāb barsoñ meñ
justujū ke diye raheñ raushan
manzileñ aur bhī haiñ qadmoñ meñ
zindagānī gar ik savāl nahīñ
umr kaT jaa.e kyoñ javāboñ meñ
abr-e-naisāñ phir aaj barsegā
haiñ sadaf be-qarār bahroñ meñ
nazreñ gustāḳh ho ga.iiñ merī
kuchh ishāra thā un kī āñkhoñ meñ
yaad teri siyah raaton mein
hai farozan hamari nazron mein
main ne un se kiya tha ek sawal
us ka aaya jawab barson mein
justuju ke diye rahen raushan
manzilen aur bhi hain qadmon mein
zindagani gar ek sawal nahin
umr kaT jae kyon jawabon mein
abr-e-naisan phir aaj barsega
hain sadaf be-qarar bahron mein
nazren gustaKH ho gain meri
kuchh ishaara tha un ki aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.