yaad tumhaari aai hai barsaton mein
yaad tumhārī aa.ī hai barsātoñ meñ
phuul khile zaḳhmoñ ke bhīgī rātoñ meñ
jis meñ koī ḳhuun na ho armānoñ kā
aisī koī raat nahīñ hai rātoñ meñ
chūmegā ik 'ālam rahtī duniyā tak
sang jo tum ne bheje haiñ sauġhātoñ meñ
un kā lahja un kī bāteñ kyā kahiye
vaqt guzar jaatā hai bātoñ bātoñ meñ
shahroñ kī rangīnī raas na aa.egī
sāthī merā chhūT gayā dehātoñ meñ
chādar meñ muñh Dhāñke yūñhī leTe haiñ
niiñd kahāñ aa.ī hai ujḌī rātoñ meñ
zaat ke andar kyoñ merā dam ghuTtā hai
zinda haiñ sab apnī apnī zātoñ meñ
daulat mere paas nahīñ lekin 'irfān'
maiñ ne ḳhud ko baañT diyā ḳhairātoñ meñ
yaad tumhaari aai hai barsaton mein
phul khile zaKHmon ke bhigi raaton mein
jis mein koi KHun na ho armanon ka
aisi koi raat nahin hai raaton mein
chumega ek 'alam rahti duniya tak
sang jo tum ne bheje hain saughaton mein
un ka lahja un ki baaten kya kahiye
waqt guzar jata hai baaton baaton mein
shahron ki rangini ras na aaegi
sathi mera chhuT gaya dehaton mein
chadar mein munh Dhanke yunhi leTe hain
nind kahan aai hai ujDi raaton mein
zat ke andar kyon mera dam ghuTta hai
zinda hain sab apni apni zaton mein
daulat mere pas nahin lekin 'irfan'
main ne KHud ko banT diya KHairaaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.