yaad tumhaari har mushkil yun hal kar deti hai
yaad tumhārī har mushkil yuuñ hal kar detī hai
dard kī golī jaise a.azā shal kar detī hai
us kī furqat kā lamha sadiyoñ par bhārī hai
us kī qurbat sadiyoñ ko bhī pal kar detī hai
chhuTkārā mil jaatā hai is gyānī duniyā se
ik laḌkī hai jo mujh ko pāgal kar detī hai
dil na jale to pyaar kī duniyā kaise raushan ho
sham.a ujālā is duniyā ko jal kar detī hai
'kāshif' mujh par tab hotī hai bārish ġhazloñ kī
jab vo apnī zulfoñ ko bādal kar detī hai
yaad tumhaari har mushkil yun hal kar deti hai
dard ki goli jaise aaza shal kar deti hai
us ki furqat ka lamha sadiyon par bhaari hai
us ki qurbat sadiyon ko bhi pal kar deti hai
chhuTkara mil jata hai is gyani duniya se
ek laDki hai jo mujh ko pagal kar deti hai
dil na jale to pyar ki duniya kaise raushan ho
shama ujala is duniya ko jal kar deti hai
'kashif' mujh par tab hoti hai barish ghazlon ki
jab wo apni zulfon ko baadal kar deti hai
- Book : Word File Mail By Salim Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.