yaad us mah-e-KHubi ki jab hijr ki raat aai
yaad us mah-e-KHubi ki jab hijr ki raat aai
Haidar Husain Fiza Lucknowi
MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi
yaad us mah-e-ḳhūbī kī jab hijr kī raat aa.ī
āñkhoñ meñ mirī us dam ashkoñ kī barāt aa.ī
dil ishq kī lazzat se āgāh huā jab se
jaise tan-e-murda meñ ik taaza hayāt aa.ī
thā dil meñ irāda to shikvoñ kā shikāyat kā
jab sāmne vo aa.e hoñToñ pe na baat aa.ī
talḳhi-e-kalām us kī āshiq kī samā.at tak
shīrīnī-o-lazzat meñ mānind-e-sabāt aa.ī
is ḳhaak meñ milne ko ḳhud ḳhaak huā āḳhir
ḳhaak us ke qadam kī jab dīvāne ke haath aa.ī
is tābish-e-jalva se nazreñ jo huiiñ ḳhīra
phir sāmne āñkhoñ ke pahlī sī qanāt aa.ī
ḳhalvat hai shab-e-ġham kī aur mashq-e-tasavvur hai
tum se gale milne kī phir aaj ye raat aa.ī
mā.il-ba-karam us ko paayā jo 'fazā' ik din
jo dil meñ thī muddat se hoñToñ pe vo baat aa.ī
yaad us mah-e-KHubi ki jab hijr ki raat aai
aankhon mein meri us dam ashkon ki baraat aai
dil ishq ki lazzat se aagah hua jab se
jaise tan-e-murda mein ek taza hayat aai
tha dil mein irada to shikwon ka shikayat ka
jab samne wo aae honTon pe na baat aai
talKHi-e-kalam us ki aashiq ki samaat tak
shirini-o-lazzat mein manind-e-sabaat aai
is KHak mein milne ko KHud KHak hua aaKHir
KHak us ke qadam ki jab diwane ke hath aai
is tabish-e-jalwa se nazren jo huin KHira
phir samne aankhon ke pahli si qanat aai
KHalwat hai shab-e-gham ki aur mashq-e-tasawwur hai
tum se gale milne ki phir aaj ye raat aai
mail-ba-karam us ko paya jo 'faza' ek din
jo dil mein thi muddat se honTon pe wo baat aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.