yaaden hain shab-e-gham hai aur ashk-fishani hai
yādeñ haiñ shab-e-ġham hai aur ashk-fishānī hai
sun ai dil-e-dīvāna terī ye kahānī hai
kashtī kā buḌhāpā hai tūfāñ kī javānī hai
pī leñge samundar ko ham ne bhī ye Thānī hai
ai jazba-e-sādiq tū fānūs-e-mohabbat hai
jo gul na ho āñdhī se vo sham.a jalānī hai
bas ek mohabbat hai jis ko hai baqā varna
is ālam-e-fānī meñ jo chiiz hai faanī hai
husn-e-ruḳh-e-duniyā kā har dil pe asar dekhā
ā.īne badalte haiñ tasvīr purānī hai
lafzoñ ko muhib de de dhaḌkan dil-e-maḳhzan kī
mahfil meñ ġhazal apnī un ko jo sunānī hai
yaaden hain shab-e-gham hai aur ashk-fishani hai
sun ai dil-e-diwana teri ye kahani hai
kashti ka buDhapa hai tufan ki jawani hai
pi lenge samundar ko hum ne bhi ye Thani hai
ai jazba-e-sadiq tu fanus-e-mohabbat hai
jo gul na ho aandhi se wo shama jalani hai
bas ek mohabbat hai jis ko hai baqa warna
is aalam-e-fani mein jo chiz hai fani hai
husn-e-ruKH-e-duniya ka har dil pe asar dekha
aaine badalte hain taswir purani hai
lafzon ko muhib de de dhaDkan dil-e-maKHzan ki
mahfil mein ghazal apni un ko jo sunani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.