yaaden tumhaari phenk dun kaise nikal kar
yādeñ tumhārī pheñk duuñ kaise nikāl kar
dil ke qafas meñ rakkhī haiñ muddat se paal kar
maiñ Thiik huuñ to maan dalīleñ sabhī mirī
maiñ huuñ ġhalat agar to aa mujh se savāl kar
sah letī huuñ maiñ terī sabhī bad-tamīziyāñ
jo vaqt saath guzrā hai us kā ḳhayāl kar
kyā ḳhuub pyaar kā sila tū ne diyā mujhe
barsoñ ke intizār ko lamhe meñ Taal kar
shāmil nahīñ huuñ aisī jamā.at meñ aaj bhī
hamdardī chāhiye jinheñ jazba uchhāl kar
yūñhī to pur-asar nahīñ ash.ār ho ga.e
likkhā hai lafz-e-dard meñ thoḌā ubaal kar
honā thā jo bhī ho chukā achchhā hai yā burā
kyā fā.eda hai ab na 'tabassum' malāl kar
yaaden tumhaari phenk dun kaise nikal kar
dil ke qafas mein rakkhi hain muddat se pal kar
main Thik hun to man dalilen sabhi meri
main hun ghalat agar to aa mujh se sawal kar
sah leti hun main teri sabhi bad-tamiziyan
jo waqt sath guzra hai us ka KHayal kar
kya KHub pyar ka sila tu ne diya mujhe
barson ke intizar ko lamhe mein Tal kar
shamil nahin hun aisi jamaat mein aaj bhi
hamdardi chahiye jinhen jazba uchhaal kar
yunhi to pur-asar nahin ashaar ho gae
likkha hai lafz-e-dard mein thoDa ubaal kar
hona tha jo bhi ho chuka achchha hai ya bura
kya faeda hai ab na 'tabassum' malal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.