yaadon ka ajib silsila hai
yādoñ kā ajiib silsila hai
soyā huā dard jaag uThā hai
miT bhī chuke naqsh-e-pā magar dil
mahkī huī chaap sun rahā hai
dīvāreñ khaḌī huī haiñ lekin
andar se makān gir rahā hai
pūchhe hai chaTak ke ġhuncha-e-zaḳhm
ai ajnabī terā naam kyā hai
kis sho.ala-badan kī yaad aa.ī
dāmān-e-ḳhayāl jal uThā hai
sochā hai ye maiñ ne pī ke aksar
nashshe meñ ye raushnī sī kyā hai
qātil ko duā.eñ do ki 'fāriġh'
har zaḳhm-e-vafā ġhazal-sarā hai
yaadon ka ajib silsila hai
soya hua dard jag uTha hai
miT bhi chuke naqsh-e-pa magar dil
mahki hui chap sun raha hai
diwaren khaDi hui hain lekin
andar se makan gir raha hai
puchhe hai chaTak ke ghuncha-e-zaKHm
ai ajnabi tera nam kya hai
kis shoala-badan ki yaad aai
daman-e-KHayal jal uTha hai
socha hai ye main ne pi ke aksar
nashshe mein ye raushni si kya hai
qatil ko duaen do ki 'farigh'
har zaKHm-e-wafa ghazal-sara hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 176)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.