yaadon ka har charagh hi ek raushni hai ab
yādoñ kā har charāġh hī ik raushnī hai ab
guzre tire ḳhayāl meñ jo zindagī hai ab
dair-o-haram kī baat bhī apnī jagah sahī
miskīñ vafā ke phuul vahī bandagī hai ab
kūche se tere roz hī guzrā kiye magar
ḳhud se guzar ga.e haiñ to ye be-ḳhudī hai ab
ye kaun tāqchoñ se uThā le gayā charāġh
kuchh sūjhtā nahīñ hai ajab tīrgī hai ab
vo to hazār pardoñ meñ dekhā kareñ hameñ
ham DhūñDte phireñ unheñ kyā bebasī hai ab
dil meñ ḳharosh hāthoñ meñ jumbish nahīñ rahī
kyā kījiye jo saaqī ne miinā bharī hai ab
samjho ki ab to vaqt-e-vadā-e-bahār hai
kis ko batā.eñ dosto kyā zindagī hai ab
yaadon ka har charagh hi ek raushni hai ab
guzre tere KHayal mein jo zindagi hai ab
dair-o-haram ki baat bhi apni jagah sahi
miskin wafa ke phul wahi bandagi hai ab
kuche se tere roz hi guzra kiye magar
KHud se guzar gae hain to ye be-KHudi hai ab
ye kaun taqchon se uTha le gaya charagh
kuchh sujhta nahin hai ajab tirgi hai ab
wo to hazar pardon mein dekha karen hamein
hum DhunDte phiren unhen kya bebasi hai ab
dil mein KHarosh hathon mein jumbish nahin rahi
kya kijiye jo saqi ne mina bhari hai ab
samjho ki ab to waqt-e-wada-e-bahaar hai
kis ko bataen dosto kya zindagi hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.