yaadon ka koi dip jalae to baat hai
yādoñ kā koī diip jalā.e to baat hai
vo chāñdnī hai paas bulā.e to baat hai
aa kar kisī bhī baaġh meñ mil jaa.e ḳhair hai
gorī agar na ghar pe bulā.e to baat hai
phir zikr chāhatoñ kā samā.at kā husn ho
phir dāstān-e-vasl sunā.e to baat hai
hai vaqt mehrbāñ to kare shād-kām dil
ye dūriyoñ ke zaḳhm bhulā.e to baat hai
rut hai milan kī us ke bhī raste meñ aa.e haiñ
taaza gulāb haath pe laa.e to baat hai
'āshiq' hai āshiqī kī zarūrī hai gar use
is āshiqī meñ ḳhud ko gañvā.e to baat hai
yaadon ka koi dip jalae to baat hai
wo chandni hai pas bulae to baat hai
aa kar kisi bhi bagh mein mil jae KHair hai
gori agar na ghar pe bulae to baat hai
phir zikr chahaton ka samaat ka husn ho
phir dastan-e-wasl sunae to baat hai
hai waqt mehrban to kare shad-kaam dil
ye duriyon ke zaKHm bhulae to baat hai
rut hai milan ki us ke bhi raste mein aae hain
taza gulab hath pe lae to baat hai
'ashiq' hai aashiqi ki zaruri hai gar use
is aashiqi mein KHud ko ganwae to baat hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 401)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.