yaadon ke album ko le kar aate hain
yādoñ ke album ko le kar aate haiñ
chāñd se chehre ḳhvāb meñ aksar aate haiñ
baap kī maar bahan kī jhiḌkī maañ kī DaañT
raat ga.e kyā lene ham ghar aate haiñ
paisa kamā kar rakhnā kitnā mushkil hai
ghar ke masā.il bhes badal kar aate haiñ
ho saktā hai koī musībat aa.ī ho
ab us ke paiġhām barābar aate haiñ
yaadon ke album ko le kar aate hain
chand se chehre KHwab mein aksar aate hain
bap ki mar bahan ki jhiDki man ki DanT
raat gae kya lene hum ghar aate hain
paisa kama kar rakhna kitna mushkil hai
ghar ke masail bhes badal kar aate hain
ho sakta hai koi musibat aai ho
ab us ke paigham barabar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.