yaadon ke ambar lage the
yādoñ ke ambār lage the
ḳhālī packet bhare paḌe the
jaane kaun sā dukh haavī thā
jaane kyoñ itnā hañste the
us bezār galī se ho kar
ham aksar aate jaate the
ḳhvāboñ ke bosīda manzar
āñkhoñ āñkhoñ jhāñk rahe the
āvāzoñ ke gūñge lashkar
raat kā siina chiir rahe the
gul-dānoñ ko yaad nahīñ ab
pahle kaun se phuul saje the
ham bhī pāgal the jo tum se
apnā jī halkā karte the
kaisī vahshat-nāk fazā thī
chaa.e ke ḳhālī cup kahte the
merī is vīrān-sarā tak
kuchh saa.e pīchhā karte the
kitnī purānī ḳhabreñ thī vo
jin ko ham taaza karte the
afsānoñ kī bhiiḌ meñ kho kar
ham ḳhud ko DhūñDā karte the
yaadon ke ambar lage the
KHali packet bhare paDe the
jaane kaun sa dukh hawi tha
jaane kyon itna hanste the
us bezar gali se ho kar
hum aksar aate jate the
KHwabon ke bosida manzar
aankhon aankhon jhank rahe the
aawazon ke gunge lashkar
raat ka sina chir rahe the
gul-danon ko yaad nahin ab
pahle kaun se phul saje the
hum bhi pagal the jo tum se
apna ji halka karte the
kaisi wahshat-nak faza thi
chae ke KHali cup kahte the
meri is viran-sara tak
kuchh sae pichha karte the
kitni purani KHabren thi wo
jin ko hum taza karte the
afsanon ki bhiD mein kho kar
hum KHud ko DhunDa karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.