yaadon ki wo baraat kahan aur kahan main
yādoñ kī vo bārāt kahāñ aur kahāñ maiñ
tāroñ meñ sajī raat kahāñ aur kahāñ maiñ
is husn kī rā'nā.iyāñ vo shoḳh nazāre
baḌhte hue jazbāt kahāñ aur kahāñ maiñ
ḳhvāhish dil-e-mahzūñ kī mile un se nazar bhī
pākīza vo lamhāt kahāñ aur kahāñ maiñ
bīmār-e-mohabbat ko du'ā aur davā bhī
haiñ un ke karāmāt kahāñ aur kahāñ maiñ
kyoñ 'ishq ne jaane dil-e-'ādil' ko chunā hai
tābinda tirī zaat kahāñ aur kahāñ maiñ
yaadon ki wo baraat kahan aur kahan main
taron mein saji raat kahan aur kahan main
is husn ki ra'naiyan wo shoKH nazare
baDhte hue jazbaat kahan aur kahan main
KHwahish dil-e-mahzun ki mile un se nazar bhi
pakiza wo lamhat kahan aur kahan main
bimar-e-mohabbat ko du'a aur dawa bhi
hain un ke karamat kahan aur kahan main
kyon 'ishq ne jaane dil-e-'adil' ko chuna hai
tabinda teri zat kahan aur kahan main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.