yaadon ko dhuan kar ke uDa kyon nahin dete
yādoñ ko dhuāñ kar ke uḌā kyoñ nahīñ dete
tāqat hai to tum mujh ko bhulā kyoñ nahīñ dete
tum mujh ko ḳhatāoñ kī sazā kyoñ nahīñ dete
is 'ahd meñ jiine kī du'ā kyoñ nahīñ dete
ghanghor añdherā hai agar madd-e-muqābil
parda ruḳh-e-raushan se uThā kyoñ nahīñ dete
nāqis jinheñ lagtā hai har ik she'r tumhārā
tum un kī ġhazal un ko sunā kyoñ nahīñ dete
kahtī hai saḳhī-ibn-e-saḳhī aap ko duniyā
phir aap mujhe haq bhī mirā kyoñ nahīñ dete
dariyā kī ḳhamoshī agar achchhī nahīñ lagtī
paanī meñ koī chiiz girā kyoñ nahīñ dete
sajda to sabhī karte haiñ rasmoñ ke butoñ ko
sar tum bhī 'habīb' apnā jhukā kyoñ nahīñ dete
yaadon ko dhuan kar ke uDa kyon nahin dete
taqat hai to tum mujh ko bhula kyon nahin dete
tum mujh ko KHataon ki saza kyon nahin dete
is 'ahd mein jine ki du'a kyon nahin dete
ghanghor andhera hai agar madd-e-muqabil
parda ruKH-e-raushan se uTha kyon nahin dete
naqis jinhen lagta hai har ek she'r tumhaara
tum un ki ghazal un ko suna kyon nahin dete
kahti hai saKHi-ibn-e-saKHi aap ko duniya
phir aap mujhe haq bhi mera kyon nahin dete
dariya ki KHamoshi agar achchhi nahin lagti
pani mein koi chiz gira kyon nahin dete
sajda to sabhi karte hain rasmon ke buton ko
sar tum bhi 'habib' apna jhuka kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.