yaadon mein uski yaad Dhale aur diya jale
yādoñ meñ us kī yaad Dhale aur diyā jale
ye raat jagmagātī chale aur diyā jale
raushan hai kul jahāñ mirā us ke ḳhayāl se
sūraj Dhale to chāñd chale aur diyā jale
ye raushnī kī bel hamesha harī rahe
har shāḳh is kī phūle phale aur diyā jale
dil ko hai intizār ki ab dhartī āsmāñ
ik duuje ko lagā.eñ gale aur diyā jale
barse vo chāñdnī kī tarah aise TuuT kar
tārīkī apne haath male aur diyā jale
maiñ chāhtā huuñ vo bhī mujhe aise āzmā.e
tūfān aa.e āñdhī chale aur diyā jale
yuuñ zindagī kī shaam Dhale duur dasht meñ
leTe hoñ sabz peḌ tale aur diyā jale
yaadon mein us ki yaad Dhale aur diya jale
ye raat jagmagati chale aur diya jale
raushan hai kul jahan mera us ke KHayal se
suraj Dhale to chand chale aur diya jale
ye raushni ki bel hamesha hari rahe
har shaKH is ki phule phale aur diya jale
dil ko hai intizar ki ab dharti aasman
ek duje ko lagaen gale aur diya jale
barse wo chandni ki tarah aise TuT kar
tariki apne hath male aur diya jale
main chahta hun wo bhi mujhe aise aazmae
tufan aae aandhi chale aur diya jale
yun zindagi ki sham Dhale dur dasht mein
leTe hon sabz peD tale aur diya jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.