yaadon pe koi pahra lagaya nahin gaya
yādoñ pe koī pahra lagāyā nahīñ gayā
bichhḌā magar vo yaar bhulāyā nahīñ gayā
ashkoñ ne kah diyā thā magar hoñT chup rahe
āñkhoñ se koī raaz chhupāyā nahīñ gayā
pūchhā kisī ne yaar mohabbat meñ kyā huā
sach sach kisī ko yaar batāyā nahīñ gayā
kaise ujaḌ gayā thā baġhīcha bahār meñ
qissa kisī ko yaar sunāyā nahīñ gayā
sāgar kī ret par hī banāyā huā mahal
hāthoñ se apne yaar miTāyā nahīñ gayā
duniyā ke saare log rulāte rahe hameñ
ham se kisī kā dil bhī dukhāyā nahīñ gayā
kaise diloñ ke zaḳhm dikhāte ham aap ko
ham ne sunā diyā hai dikhāyā nahīñ gayā
us ne bhī muñh ko pher liyā aap se 'dharam'
ham se bhī haath yaar milāyā nahīñ gayā
yaadon pe koi pahra lagaya nahin gaya
bichhDa magar wo yar bhulaya nahin gaya
ashkon ne kah diya tha magar honT chup rahe
aankhon se koi raaz chhupaya nahin gaya
puchha kisi ne yar mohabbat mein kya hua
sach sach kisi ko yar bataya nahin gaya
kaise ujaD gaya tha baghicha bahaar mein
qissa kisi ko yar sunaya nahin gaya
sagar ki ret par hi banaya hua mahal
hathon se apne yar miTaya nahin gaya
duniya ke sare log rulate rahe hamein
hum se kisi ka dil bhi dukhaya nahin gaya
kaise dilon ke zaKHm dikhate hum aap ko
hum ne suna diya hai dikhaya nahin gaya
us ne bhi munh ko pher liya aap se 'dharam'
hum se bhi hath yar milaya nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.