yaadon se Khaali dil ki ye kin wadiyon ke bich
yādoñ se ḳhālī dil kī ye kin vādiyoñ ke biich
tanhā khaḌī huī huuñ maiñ tanhā.iyoñ ke biich
hoñToñ pe mere harf-e-shikāyat kahāñ rahā
hairān ho rahī huuñ maiñ ḳhāmoshiyoñ ke biich
bachchoñ ne us ke rang bhare par katar diye
titlī ik uḌ rahī thī jo ra.anā.iyoñ ke biich
mushkil lagī jo ziist guzāre chale ga.e
dāman ḳhirad kā thaam ke nādāniyoñ ke biich
duniyā ko kyā ḳhabar ki hai kitnā azīz-tar
ehsās jo huā thā pashemāniyoñ ke biich
lo phir se tez ho ga.ī lau sham.a-e-yād kī
phir 'najm' muztarib sī hai parchhā.iyoñ ke biich
yaadon se KHali dil ki ye kin wadiyon ke bich
tanha khaDi hui hun main tanhaiyon ke bich
honTon pe mere harf-e-shikayat kahan raha
hairan ho rahi hun main KHamoshiyon ke bich
bachchon ne us ke rang bhare par katar diye
titli ek uD rahi thi jo ranaiyon ke bich
mushkil lagi jo zist guzare chale gae
daman KHirad ka tham ke nadaniyon ke bich
duniya ko kya KHabar ki hai kitna aziz-tar
ehsas jo hua tha pashemaniyon ke bich
lo phir se tez ho gai lau shama-e-yaad ki
phir 'najm' muztarib si hai parchhaiyon ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.