yan hum ko jis ne mara malum ho rahega
yaañ ham ko jis ne maarā ma.alūm ho rahegā
mahshar meñ ḳhuuñ hamārā ma.alūm ho rahegā
go phuul phuul kar ab to dekhtī hai bulbul
gulshan kā par nazārā ma.alūm ho rahegā
jab bahr-e-ġham meñ Duubā de chhoḌ dast-o-pā ko
āḳhir tujhe kinārā ma.alūm ho rahegā
ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzūñ hai
jitnā hai dil kā yaarā ma.alūm ho rahegā
ai āftāb-e-mahshar kholūñ huuñ daaġh dil kā
chamkā agar ye taarā ma.alūm ho rahegā
sad-sher āshiqoñ kā hone lagā vafūr ab
sab hausla tumhārā ma.alūm ho rahegā
naqsh-e-qadam se āḳhir terī galī meñ pyāre
jis kā huā guzārā ma.alūm ho rahegā
afsos raaz dil kā jāsūs sun ga.e haiñ
qissa ab us ko saarā ma.alūm ho rahegā
poshīda go hai tujh par ahvāl mere dil kā
hai ye to āshkārā ma.alūm ho rahegā
nā-chār kū-ba-kū ab tahqīq karne phiriye
kuchh dard-e-dil kā chārā ma.alūm ho rahegā
pinhāñ hai ab to lekin marne ke ba.ad 'jur.at'
dard-e-darūñ hamārā ma.alūm ho rahegā
yan hum ko jis ne mara malum ho rahega
mahshar mein KHun hamara malum ho rahega
go phul phul kar ab to dekhti hai bulbul
gulshan ka par nazara malum ho rahega
jab bahr-e-gham mein Duba de chhoD dast-o-pa ko
aaKHir tujhe kinara malum ho rahega
ai sabr dam-ba-dam ab dard-o-alam fuzun hai
jitna hai dil ka yara malum ho rahega
ai aaftab-e-mahshar kholun hun dagh dil ka
chamka agar ye tara malum ho rahega
sad-sher aashiqon ka hone laga wafur ab
sab hausla tumhaara malum ho rahega
naqsh-e-qadam se aaKHir teri gali mein pyare
jis ka hua guzara malum ho rahega
afsos raaz dil ka jasus sun gae hain
qissa ab us ko sara malum ho rahega
poshida go hai tujh par ahwal mere dil ka
hai ye to aashkara malum ho rahega
na-chaar ku-ba-ku ab tahqiq karne phiriye
kuchh dard-e-dil ka chaara malum ho rahega
pinhan hai ab to lekin marne ke baad 'jurat'
dard-e-darun hamara malum ho rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.