yan hijr mein mahshar dil-e-mail ne dikhaya
yan hijr mein mahshar dil-e-mail ne dikhaya
Nawab Nazeer Al-Daula
MORE BYNawab Nazeer Al-Daula
yaañ hijr meñ mahshar dil-e-mā.il ne dikhāyā
kānoñ se jo sunte the use dil ne dikhāyā
majnūñ kā uThā parda-e-hastī idhar aur aah
āñchal na use sāhib-e-mahmil ne dikhāyā
ham ro paḌe dekh apnī is āġhosh-e-tahī ko
gird apne jo haala mah-e-kāmil ne dikhāyā
gar gashta hue ham na khulā zulf kā uqda
kyā pech ab is uqda-e-mushkil ne dikhāyā
patthar ko huā zaḳhm-e-jigar se maraz-e-sil
jab zaḳhm-e-jigar aap ke bismil ne dikhāyā
juuñ reg-e-ravāñ bādiya-paimā.ī hai tā-umr
muñh ham ko na āsā.ish-e-manzil ne dikhāyā
kab ahl-e-saḳhāvat se ho taqdīr ke bin faiz
ham samjhe lab-e-ḳhushk jo sāhil ne dikhāyā
ghuñghaT se ayaañ saaf hai us yaar kā jalva
ainak kā mazā parda-e-hā.il ne dikhāyā
us zulf kī tāsīr se aañsū haiñ siyah-posh
sāmān-e-alam ashk kī mahfil ne dikhāyā
'daula' ye ġhazal ham ne sunā.ī to ḳhajil ho
dīvān na phir āqil-o-ġhāfil ne dikhāyā
yan hijr mein mahshar dil-e-mail ne dikhaya
kanon se jo sunte the use dil ne dikhaya
majnun ka uTha parda-e-hasti idhar aur aah
aanchal na use sahib-e-mahmil ne dikhaya
hum ro paDe dekh apni is aaghosh-e-tahi ko
gird apne jo haala mah-e-kaamil ne dikhaya
gar gashta hue hum na khula zulf ka uqda
kya pech ab is uqda-e-mushkil ne dikhaya
patthar ko hua zaKHm-e-jigar se maraz-e-sil
jab zaKHm-e-jigar aap ke bismil ne dikhaya
jun reg-e-rawan baadiya-paimai hai ta-umr
munh hum ko na aasaish-e-manzil ne dikhaya
kab ahl-e-saKHawat se ho taqdir ke bin faiz
hum samjhe lab-e-KHushk jo sahil ne dikhaya
ghunghaT se ayan saf hai us yar ka jalwa
ainak ka maza parda-e-hail ne dikhaya
us zulf ki tasir se aansu hain siyah-posh
saman-e-alam ashk ki mahfil ne dikhaya
'daula' ye ghazal hum ne sunai to KHajil ho
diwan na phir aaqil-o-ghafil ne dikhaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.