yani us bewafa sitam-gar ki yaad aane se kuchh nahin hota
yani us bewafa sitam-gar ki yaad aane se kuchh nahin hota
Pushp Raj yadav
MORE BYPushp Raj yadav
ya.anī us bevafā sitam-gar kī yaad aane se kuchh nahīñ hotā
shām-e-hijrāñ udaas hai logo ghar jalāne se kuchh nahīñ hotā
shāhzādī hamārī qismat meñ har nafas TuuT kar bikharnā hai
terī chāragarī-e-ulfat ko āzmāne se kuchh nahīñ hotā
bārhā tujh ko bhuul jaane kī koshisheñ kar ke dekh jaanā hai
yaad rakhnā fuzūl hai jis ko bhuul jaane se kuchh nahīñ hotā
shaam bhī rang bhī havā.eñ bhī dil meñ utrī haiñ kuchh sadā.eñ bhī
par mirī jaan sach kahūñ tujh bin sab zamāne se kuchh nahīñ hotā
apnā ahd-e-vafā bhī toḌ diyā ab to vo shahr us ne chhoḌ diyā
pahan kar niilī shirt ab apnī shahr jaane se kuchh nahīñ hotā
ishq meñ choT khaa.ī hai dil par hijr meñ shab guzārī hai ro kar
shahr vaalo hamārī hālat par varġhalāne se kuchh nahīñ hotā
'pushprāj' apnī zindagī jaise koī beva kā husn ho jis kā
ek daf.a gar siñgār puchh jaa.e phir sajāne se kuchh nahīñ hotā
yani us bewafa sitam-gar ki yaad aane se kuchh nahin hota
sham-e-hijran udas hai logo ghar jalane se kuchh nahin hota
shahzadi hamari qismat mein har nafas TuT kar bikharna hai
teri chaaragari-e-ulfat ko aazmane se kuchh nahin hota
barha tujh ko bhul jaane ki koshishen kar ke dekh jaana hai
yaad rakhna fuzul hai jis ko bhul jaane se kuchh nahin hota
sham bhi rang bhi hawaen bhi dil mein utri hain kuchh sadaen bhi
par meri jaan sach kahun tujh bin sab zamane se kuchh nahin hota
apna ahd-e-wafa bhi toD diya ab to wo shahr us ne chhoD diya
pahan kar nili shirt ab apni shahr jaane se kuchh nahin hota
ishq mein choT khai hai dil par hijr mein shab guzari hai ro kar
shahr walo hamari haalat par warghalane se kuchh nahin hota
'pushpraj' apni zindagi jaise koi bewa ka husn ho jis ka
ek dafa gar singar puchh jae phir sajaane se kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.