yar ek lazzat-e-didar se aage na gae
yaar ik lazzat-e-dīdār se aage na ga.e
ya.anī zulf-o-lab-o-ruḳhsār se aage na ga.e
josh meñ sūrat-e-nādār jo aate haiñ nazar
hosh meñ shikva-e-zar-dār se aage na ga.e
thā vahīñ kū-e-muġhāñ chār-qadam par afsos
kyā kiyā ham ne ki bāzār se aage na ga.e
ġham jo āzār thā ik daulat-e-bedār hai ab
ham to is daulat-e-bedār se aage na ga.e
shab ne jalva kiyā do-chār tarab-ḳhānoñ meñ
sub.h ke jalve bhī dīvār se aage na ga.e
zulf kī chhāñv meñ so.e na ḳhatar meñ jaage
haa.e vo log jo begār se aage na ga.e
āsmāñ toḌ ke aadam to zamīñ tak aayā
mehr-o-mah gardish-e-parkār se aage na ga.e
yar ek lazzat-e-didar se aage na gae
yani zulf-o-lab-o-ruKHsar se aage na gae
josh mein surat-e-nadar jo aate hain nazar
hosh mein shikwa-e-zar-dar se aage na gae
tha wahin ku-e-mughan chaar-qadam par afsos
kya kiya hum ne ki bazar se aage na gae
gham jo aazar tha ek daulat-e-bedar hai ab
hum to is daulat-e-bedar se aage na gae
shab ne jalwa kiya do-chaar tarab-KHanon mein
subh ke jalwe bhi diwar se aage na gae
zulf ki chhanw mein soe na KHatar mein jage
hae wo log jo begar se aage na gae
aasman toD ke aadam to zamin tak aaya
mehr-o-mah gardish-e-parkar se aage na gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.