yar is chiz ka bazar nahin hoga kya
yaar is chiiz kā bāzār nahīñ hogā kyā
ḳhvāb kā koī ḳharīdār nahīñ hogā kyā
haath kā lams harārat to nahīñ de paayā
is kā matlab hai use pyaar nahīñ hogā kyā
maiñ ne dariyā ke kināroñ ko milānā chāhā
merī mehnat se to inkār nahīñ hogā kyā
mustaqil ḳhvāb kā hissa hī banā phirtā hai
tū kabhī niiñd se bedār nahīñ hogā kyā
is kināre se agar saaf nazar aatā hai
phir safar paar kā bekār nahīñ hogā kyā
yar is chiz ka bazar nahin hoga kya
KHwab ka koi KHaridar nahin hoga kya
hath ka lams hararat to nahin de paya
is ka matlab hai use pyar nahin hoga kya
main ne dariya ke kinaron ko milana chaha
meri mehnat se to inkar nahin hoga kya
mustaqil KHwab ka hissa hi bana phirta hai
tu kabhi nind se bedar nahin hoga kya
is kinare se agar saf nazar aata hai
phir safar par ka bekar nahin hoga kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.