yar ka panw to aalam ka dahan sar hota
yar ka panw to aalam ka dahan sar hota
Raja Girdhari Parsad Baqi
MORE BYRaja Girdhari Parsad Baqi
yaar kā paañv to aalam kā dahāñ sar hotā
kāshke maiñ bhī dar-e-yār kā patthar hotā
bose letā lab-e-shīrīñ ke jo sāġhar hotā
shīsha hotā to maiñ ham-pahlū-e-dilbar hotā
jalva-farmā jo kabhī vo mah-e-anvar hotā
sharaf-e-manzil-e-ḳhurshīd merā ghar hotā
dil-e-āshiq ke ye sau TukḌe kahāñ se hote
teġh-e-abrū meñ jo ġhamze kā na jauhar hotā
varaq-e-gul pe tire chehre kī likhtā tausīf
rag-e-bulbul se agar rishta-e-mistar hotā
ātish-e-ishq kī dil hī hai ki laatā hai taab
ḳhaak hotā jo is ātish meñ samundar hotā
lab-e-rangīñ kā agar rang dikhātā vo shoḳh
la.al be-rangī se billor kā patthar hotā
hosh ho jaate rafū-chakkar udhaḌte Tāñke
zaḳhm-e-dil siine ke darpe jo rafūgar hotā
apnī betābī-e-dil kī bhī maiñ likhtā hālat
ḳhat ke pahuñchāne ko loTan jo kabūtar hotā
josh-e-vahshat ke sabab raah pe aatā na kabhī
tere āvāra kā gar ḳhizr bhī rahbar hotā
qadd-e-bālā ke tasavvur meñ jo kartā fariyād
mere nāloñ kā guzar arsh-e-barīñ par hotā
aaj hotā jo sulaimāñ to tirī rakhtā muhr
aa.ina tujh ko dikhātā jo sikandar hotā
kisī hālat meñ nahīñ mujh ko surūr ai 'bāqī'
nashsha-e-mai se mire sar meñ hī chakkar hotā
yar ka panw to aalam ka dahan sar hota
kashke main bhi dar-e-yar ka patthar hota
bose leta lab-e-shirin ke jo saghar hota
shisha hota to main ham-pahlu-e-dilbar hota
jalwa-farma jo kabhi wo mah-e-anwar hota
sharaf-e-manzil-e-KHurshid mera ghar hota
dil-e-ashiq ke ye sau TukDe kahan se hote
tegh-e-abru mein jo ghamze ka na jauhar hota
waraq-e-gul pe tere chehre ki likhta tausif
rag-e-bulbul se agar rishta-e-mistar hota
aatish-e-ishq ki dil hi hai ki lata hai tab
KHak hota jo is aatish mein samundar hota
lab-e-rangin ka agar rang dikhata wo shoKH
lal be-rangi se billor ka patthar hota
hosh ho jate rafu-chakkar udhaDte Tanke
zaKHm-e-dil sine ke darpe jo rafugar hota
apni betabi-e-dil ki bhi main likhta haalat
KHat ke pahunchane ko loTan jo kabutar hota
josh-e-wahshat ke sabab rah pe aata na kabhi
tere aawara ka gar KHizr bhi rahbar hota
qadd-e-baala ke tasawwur mein jo karta fariyaad
mere nalon ka guzar arsh-e-barin par hota
aaj hota jo sulaiman to teri rakhta muhr
aaina tujh ko dikhata jo sikandar hota
kisi haalat mein nahin mujh ko surur ai 'baqi'
nashsha-e-mai se mere sar mein hi chakkar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.