yar ke bhes mein mahbub sitamgar nikla
yaar ke bhes meñ mahbūb sitamgar niklā
phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklā
ek roTī ke evaz de gayā jannat kī duā
mere kūche kā bhikārī bhī muḳhayyar niklā
āj-kal aañkh kā dekhā bhī ġhalat hotā hai
jis ko samjhe the apāhij vo tavangar niklā
vaqt kamzor ko shah-zor banā detā hai
shaam ko Duubā magar sub.h meñ ḳhāvar niklā
ghar badalne se bhī taqdīr badal jaatī hai
siip meñ paanī paḌā ban ke vo gauhar niklā
jo mire zehn-o-taḳhayyul meñ bahut ūñchā thā
us kā qad tālib-e-duniyā ke barābar niklā
jis ke zimme thī mire ghar kī hifāzat 'muztar'
dushmanoñ kā mire vo shaḳhs bhī ham-sar niklā
yar ke bhes mein mahbub sitamgar nikla
phul hum jis ko samajhte the wo patthar nikla
ek roTi ke ewaz de gaya jannat ki dua
mere kuche ka bhikari bhi muKHayyar nikla
aaj-kal aankh ka dekha bhi ghalat hota hai
jis ko samjhe the apahij wo tawangar nikla
waqt kamzor ko shah-zor bana deta hai
sham ko Duba magar subh mein KHawar nikla
ghar badalne se bhi taqdir badal jati hai
sip mein pani paDa ban ke wo gauhar nikla
jo mere zehn-o-taKHayyul mein bahut uncha tha
us ka qad talib-e-duniya ke barabar nikla
jis ke zimme thi mere ghar ki hifazat 'muztar'
dushmanon ka mere wo shaKHs bhi ham-sar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.