yar ke samne aghyar bure lagte hain
yaar ke sāmne aġhyār bure lagte haiñ
phuul hotā hai jahāñ ḳhaar bure lagte haiñ
raat ke phuul gale se ab utāreñ sarkār
baasī ho jaate haiñ jo haar bure lagte haiñ
jin ke phūloñ se na aatī ho vafā kī ḳhushbū
vo mahakte hue gulzār bure lagte haiñ
tuur pe hosh uḌāne se pata chaltā hai
husn ko tālib-e-dīdār bure lagte haiñ
in masīhāoñ se kyā dard kā darmāñ hogā
jin masīhāoñ ko bīmār bure lagte haiñ
achchhe lagte nahīñ jis din se ga.e ho mil ke
apne ghar ke dar-o-dīvār bure lagte haiñ
aise lagte haiñ shab-e-hijr ke āsār mujhe
jis tarah maut ke āsār bure lagte haiñ
yar ke samne aghyar bure lagte hain
phul hota hai jahan KHar bure lagte hain
raat ke phul gale se ab utaren sarkar
basi ho jate hain jo haar bure lagte hain
jin ke phulon se na aati ho wafa ki KHushbu
wo mahakte hue gulzar bure lagte hain
tur pe hosh uDane se pata chalta hai
husn ko talib-e-didar bure lagte hain
in masihaon se kya dard ka darman hoga
jin masihaon ko bimar bure lagte hain
achchhe lagte nahin jis din se gae ho mil ke
apne ghar ke dar-o-diwar bure lagte hain
aise lagte hain shab-e-hijr ke aasar mujhe
jis tarah maut ke aasar bure lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.