yar logon ka mohabbat mein jo meyar gira
yaar logoñ kā mohabbat meñ jo me'yār girā
yuuñ lagā mujh ko maiñ ḳhud hī sar-e-bāzār girā
rakh diyā yaar ne fauran se uThā kar phir se
merī tasvīr se jis vaqt bhī vo haar girā
jang-jū us ke sabhī bhaag ga.e jaise hī
khā ke ik tīr-e-'adū qāfila-sālār girā
baḳht ḳhvābīda azal se hai so is kī ḳhātir
is qadar ashk na ai dīda-e-bedār girā
mujh se be-nang se milne kī nahīñ kar ḳhvāhish
is qadar ḳhud ko na ai sāhib-e-dastār girā
ek nākāmī se ghabrā nahīñ kuchh mujh se siikh
haar maanī nahīñ garche maiñ lagātār girā
'ālam-e-zabt to dekho ki vo jab chhoḌ gayā
ek aañsū bhī na 'asġhar' sar-e-ruḳhsār girā
yar logon ka mohabbat mein jo me'yar gira
yun laga mujh ko main KHud hi sar-e-bazar gira
rakh diya yar ne fauran se uTha kar phir se
meri taswir se jis waqt bhi wo haar gira
jang-ju us ke sabhi bhag gae jaise hi
kha ke ek tir-e-'adu qafila-salar gira
baKHt KHwabida azal se hai so is ki KHatir
is qadar ashk na ai dida-e-bedar gira
mujh se be-nang se milne ki nahin kar KHwahish
is qadar KHud ko na ai sahib-e-dastar gira
ek nakaami se ghabra nahin kuchh mujh se sikh
haar mani nahin garche main lagatar gira
'alam-e-zabt to dekho ki wo jab chhoD gaya
ek aansu bhi na 'asghar' sar-e-ruKHsar gira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.