yar sahraon ki aankhon mein samundar bhi na tha
yaar sahrāoñ kī āñkhoñ meñ samundar bhī na thā
sāmne ghar ke mire aur koī ghar bhī na thā
kis tarah tujh se bhalā milne kī sūrat bantī
merī qismat meñ tire vasl kā zevar bhī na thā
kis tarah uḌne kī ummīd panap saktī thī
āsmānoñ pe mohabbat kā koī par bhī na thā
maiñ pighal jaatā mohabbat ke hasīñ sho.ale se
par mire sāmne vo mom kā paikar bhī na thā
dahr meñ ab maiñ bhalā kis kī numā.ish kartā
ab vo bāhar hai kahāñ jo mire andar bhī na thā
yar sahraon ki aankhon mein samundar bhi na tha
samne ghar ke mere aur koi ghar bhi na tha
kis tarah tujh se bhala milne ki surat banti
meri qismat mein tere wasl ka zewar bhi na tha
kis tarah uDne ki ummid panap sakti thi
aasmanon pe mohabbat ka koi par bhi na tha
main pighal jata mohabbat ke hasin shoale se
par mere samne wo mom ka paikar bhi na tha
dahr mein ab main bhala kis ki numaish karta
ab wo bahar hai kahan jo mere andar bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.