yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log
yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log
Syed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
MORE BYSyed Muzaffar Aalam Ziya Azeemabadi
yaaro kaisī bastī hai ye kaise haiñ dīvāne log
aapas meñ haiñ dast-o-garebāñ sab jaane pahchāne log
apne man ke saañp kā hī kuchh ḳhauf samāyā rahtā hai
jab hī apne saa.e se haiñ aaj lage Dar jaane log
kuchh to vaqt kī āñdhī ne hī dil kī raakh kuredī hai
kuchh nā-samjhī se bhī apnī aag lage bhaḌkāne log
nafrat ke ik naag ne goyā sab ko hī Das rakkhā hai
kal ham ko pahchān rahe the aaj nahīñ pahchāne log
kal tak is DyoDhī par aakar dars-e-vafā le jaate the
aah isī dar par aa.e haiñ aaj hameñ samjhāne log
kyā pūchho ho kyā batlā.eñ dil par kyā kuchh biitī hai
kal tak sab apne hī the kyuuñ aaj hue begāne log
apne dil meñ ham kyā kyā tūfān chhupā.e baiThe haiñ
kyā jāneñge kyā samjheñge ye ġham se begāne log
kal tak jehd-e-musalsal ko hī apnā shi'ār banāyā thā
shīsh-mahal ke sapnoñ meñ hī aaj lage kho jaane log
shaiḳh-o-haram ke jhagḌoñ se to dil kuchh itnā uub gayā
dair-o-haram ko chhoḌ ke ab to aa baiThe maiḳhāne log
kal tak ham hī nāz-e-vatan the ham hī shān-e-gulshan the
nang-e-vatan gardān ke ham ko aaj lage Thukrāne log
ik ehsās kī chingārī se dil meñ aag vo bhaḌkī hai
chehre kī rangat se dil kā haal lage batlāne log
ḳhushbū dil ke zaḳhmoñ kī phir aaj 'ziyā' ke phailī hai
dekho us ke paañv meñ beḌī aa.e haiñ pahnāne log
yaro kaisi basti hai ye kaise hain diwane log
aapas mein hain dast-o-gareban sab jaane pahchane log
apne man ke sanp ka hi kuchh KHauf samaya rahta hai
jab hi apne sae se hain aaj lage Dar jaane log
kuchh to waqt ki aandhi ne hi dil ki rakh kuredi hai
kuchh na-samjhi se bhi apni aag lage bhaDkane log
nafrat ke ek nag ne goya sab ko hi Das rakkha hai
kal hum ko pahchan rahe the aaj nahin pahchane log
kal tak is DyoDhi par aakar dars-e-wafa le jate the
aah isi dar par aae hain aaj hamein samjhane log
kya puchho ho kya batlaen dil par kya kuchh biti hai
kal tak sab apne hi the kyun aaj hue begane log
apne dil mein hum kya kya tufan chhupae baiThe hain
kya jaanenge kya samjhenge ye gham se begane log
kal tak jehd-e-musalsal ko hi apna shi'ar banaya tha
shish-mahal ke sapnon mein hi aaj lage kho jaane log
shaiKH-o-haram ke jhagDon se to dil kuchh itna ub gaya
dair-o-haram ko chhoD ke ab to aa baiThe maiKHane log
kal tak hum hi naz-e-watan the hum hi shan-e-gulshan the
nang-e-watan gardan ke hum ko aaj lage Thukrane log
ek ehsas ki chingari se dil mein aag wo bhaDki hai
chehre ki rangat se dil ka haal lage batlane log
KHushbu dil ke zaKHmon ki phir aaj 'ziya' ke phaili hai
dekho us ke panw mein beDi aae hain pahnane log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.