yaro tumhein KHabar nahin kitna bura hun main
yaaro tumheñ ḳhabar nahīñ kitnā burā huuñ maiñ
kamzoriyoñ ko apnī faqat jāntā huuñ maiñ
mujh ko kabhī gunāh kā mauqa nahīñ milā
aisā bhī ab nahīñ ki baḌā pārsā huuñ maiñ
apnā hī aks dekhtī hai mujh meñ terī aañkh
ai ḳhush-gumān dost kahāñ bā-safā huuñ maiñ
pal-bhar bhī us pe dil mirā ġhālib nahīñ huā
kab se anā ke saath nabard-āzmā huuñ maiñ
logoñ se merā fāsla kuchh aur baḌh gayā
shohrat ke saath aur bhī tanhā huā huuñ maiñ
har lahza mujh se kahtā hai andar kā mohtasib
matlab-parast ahd-shikan bevafā huuñ maiñ
raushan kiyā thā dil meñ kabhī aarzū kā diip
'kāshif' usī kī aag meñ ab jal rahā huuñ maiñ
yaro tumhein KHabar nahin kitna bura hun main
kamzoriyon ko apni faqat jaanta hun main
mujh ko kabhi gunah ka mauqa nahin mila
aisa bhi ab nahin ki baDa parsa hun main
apna hi aks dekhti hai mujh mein teri aankh
ai KHush-guman dost kahan ba-safa hun main
pal-bhar bhi us pe dil mera ghaalib nahin hua
kab se ana ke sath nabard-azma hun main
logon se mera fasla kuchh aur baDh gaya
shohrat ke sath aur bhi tanha hua hun main
har lahza mujh se kahta hai andar ka mohtasib
matlab-parast ahd-shikan bewafa hun main
raushan kiya tha dil mein kabhi aarzu ka dip
'kashif' usi ki aag mein ab jal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.