yaron ke yarane dekhe
yāroñ ke yārāne dekhe
duniyā ke farzāne dekhe
vaqt-e-zarūrat jo kaam aa.e
aise bhī begāne dekhe
dil de kar paa.e haiñ aañsū
ishq ke ye nazrāne dekhe
maujoñ meñ le jaa.eñ kashtī
aise bhī dīvāne dekhe
baaġh mile us qismat ko
ham ne to vīrāne dekhe
hal karte haiñ matlab apnā
matlab ke dīvāne dekhe
ek zarā sī baat pe 'shādāñ'
bante sau afsāne dekhe
yaron ke yarane dekhe
duniya ke farzane dekhe
waqt-e-zarurat jo kaam aae
aise bhi begane dekhe
dil de kar pae hain aansu
ishq ke ye nazrane dekhe
maujon mein le jaen kashti
aise bhi diwane dekhe
bagh mile us qismat ko
hum ne to virane dekhe
hal karte hain matlab apna
matlab ke diwane dekhe
ek zara si baat pe 'shadan'
bante sau afsane dekhe
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 197)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.