yas bhi hai hasrat bhi aashiqi se wabasta
yaas bhī hai hasrat bhī āshiqī se vābasta
saikḌoñ haiñ hangāme zindagī se vābasta
be-ġharz zamāne meñ kaun kis se miltā hai
dushmanī bhī hotī hai dostī se vābasta
vo abhī ujāloñ kī qadr kar nahīñ sakte
zindagī rahī jin kī tīrgī se vābasta
soch kar yahī har-dam maiñ udaas rahtā huuñ
ġham hazār hote haiñ ik ḳhushī se vābasta
aaj jo bhī insāñ hai halqa-e-junūñ meñ hai
kaun hai zamāne meñ āgahī se vābasta
kaise kaise ahl-e-dil ho ga.e haiñ dīvāne
ik junūñ kā aalam hai āshiqī se vābasta
lutf-e-zindagī 'ahmad' ḳhatm ho gayā hotā
ġham agar ye na hote zindagī se vābasta
yas bhi hai hasrat bhi aashiqi se wabasta
saikDon hain hangame zindagi se wabasta
be-gharz zamane mein kaun kis se milta hai
dushmani bhi hoti hai dosti se wabasta
wo abhi ujalon ki qadr kar nahin sakte
zindagi rahi jin ki tirgi se wabasta
soch kar yahi har-dam main udas rahta hun
gham hazar hote hain ek KHushi se wabasta
aaj jo bhi insan hai halqa-e-junun mein hai
kaun hai zamane mein aagahi se wabasta
kaise kaise ahl-e-dil ho gae hain diwane
ek junun ka aalam hai aashiqi se wabasta
lutf-e-zindagi 'ahmad' KHatm ho gaya hota
gham agar ye na hote zindagi se wabasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.