yas kahti hai ujale se andhere ban ja
yaas kahtī hai ujāle se añdhere ban jā
aas kā hukm hai chāhat kā saverā ban jā
husn-e-pur-kaif se kar raam dil-e-ahl-e-zamāñ
gher le saarā jahāñ zulf kā gherā ban jā
kyā sitam hai ki mire sāda-o-bekas dil ko
havas-e-māl kā farmāñ hai luTerā ban jā
maiñ ne kab tujh se kahā tark-e-tamannā kar ke
ai dil-e-zār kisī bhuut kā Derā ban jā
thāmnā hai tujhe ik dushman-e-bad-tīnat ko
parcham-e-hind shujā'at kā pharerā ban jā
be-niyāzāna guzar jāda-e-rang-o-bū se
ai mire jazba-e-dil jog kā pherā ban jā
zarb duniyā pe lagā kar ise tābe' kar le
is kā dil jiit añdhere meñ saverā ban jā
zaḳhmī nāgin kī tarah mārtī hai phan duniyā
is se bachne ke liye ek saperā ban jā
machhliyāñ DhūñDte motī bhī mayassar hoñge
ghuum dariyāoñ meñ bebāk machherā ban jā
'krishn-mohan' ke dukhī man sabhī bandhan taj kar
jis meñ sukh-chain ho vo rain-baserā ban jā
yas kahti hai ujale se andhere ban ja
aas ka hukm hai chahat ka sawera ban ja
husn-e-pur-kaif se kar ram dil-e-ahl-e-zaman
gher le sara jahan zulf ka ghera ban ja
kya sitam hai ki mere sada-o-bekas dil ko
hawas-e-mal ka farman hai luTera ban ja
main ne kab tujh se kaha tark-e-tamanna kar ke
ai dil-e-zar kisi bhut ka Dera ban ja
thamna hai tujhe ek dushman-e-bad-tinat ko
parcham-e-hind shuja'at ka pharera ban ja
be-niyazana guzar jada-e-rang-o-bu se
ai mere jazba-e-dil jog ka phera ban ja
zarb duniya pe laga kar ise tabe' kar le
is ka dil jit andhere mein sawera ban ja
zaKHmi nagin ki tarah marti hai phan duniya
is se bachne ke liye ek sapera ban ja
machhliyan DhunDte moti bhi mayassar honge
ghum dariyaon mein bebak machhera ban ja
'krishn-mohan' ke dukhi man sabhi bandhan taj kar
jis mein sukh-chain ho wo rain-basera ban ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.