yas ki andhi diwaron mein ek daricha DhunDh liya
yaas kī andhī dīvāroñ meñ ek darīcha DhūñDh liyā
ya.anī ham ne dil ke andar ḳhvāb kā kamra DhūñD liyā
tujh ko kho dene kā dukh bhī zabt kiyā thā ham ne par
TuuT ga.e jab tere badle ham ne duujā DhūñDh liyā
ham ko hī hai shauq bahut ki pyaas kī shiddat jāneñge
varna ham to aise haiñ jab chāhā dariyā DhūñDh liyā
kaliyāñ bhañvre sāgar motī bārish titlī indr-dhanush
tum aa.e to ham ne dil ke andar kyā kyā DhūñDh liyā
ik majnūñ thā sahrā sahrā ḳhvār huā aur ik ham haiñ
ek tamāsha ḳhatm huā to ek tamāsha DhūñDh liyā
duniyā kī Taksāl meñ aakar jaane ham ko kyā sūjhī
sab kuchh chhoḌ ke chāhat kā ik khoTā sikka DhūñDh liyā
yas ki andhi diwaron mein ek daricha DhunDh liya
yani hum ne dil ke andar KHwab ka kamra DhunD liya
tujh ko kho dene ka dukh bhi zabt kiya tha hum ne par
TuT gae jab tere badle hum ne duja DhunDh liya
hum ko hi hai shauq bahut ki pyas ki shiddat jaanenge
warna hum to aise hain jab chaha dariya DhunDh liya
kaliyan bhanwre sagar moti barish titli indr-dhanush
tum aae to hum ne dil ke andar kya kya DhunDh liya
ek majnun tha sahra sahra KHwar hua aur ek hum hain
ek tamasha KHatm hua to ek tamasha DhunDh liya
duniya ki Taksal mein aakar jaane hum ko kya sujhi
sab kuchh chhoD ke chahat ka ek khoTa sikka DhunDh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.