yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha
yaas kī kohr meñ lipTā huā chehra dekhā
jism kā ek bigaḌtā huā ḳhāka dekhā
apnī sūrat bhī na pahchān sakī aañkh mirī
muddatoñ ba.ad jo maiñ ne kabhī shīsha dekhā
shahr-e-pur-haul meñ ab ke ye ajab manzar thā
sañg kushāda thā magar sañg ko basta dekhā
maiñ bhī gum-sum thā koī baat na karne paayā
us ke hoñToñ pe bhī jaise koī pahrā dekhā
terā qurb ek tamannā so tamannā hī rahī
hāsil-e-umr yahī hai tirā rasta dekhā
kyā ajab raakh se paidā ho koī qasr-e-azīm
ham ne ātish meñ bhī gulzār kā naqsha dekhā
maiñ hī ġhamgīn nahīñ tark-e-ta.alluq pe 'kamāl'
vo bhī nāshād thā us ko bhī fasurda dekhā
yas ki kohr mein lipTa hua chehra dekha
jism ka ek bigaDta hua KHaka dekha
apni surat bhi na pahchan saki aankh meri
muddaton baad jo main ne kabhi shisha dekha
shahr-e-pur-haul mein ab ke ye ajab manzar tha
sang kushada tha magar sang ko basta dekha
main bhi gum-sum tha koi baat na karne paya
us ke honTon pe bhi jaise koi pahra dekha
tera qurb ek tamanna so tamanna hi rahi
hasil-e-umr yahi hai tera rasta dekha
kya ajab rakh se paida ho koi qasr-e-azim
hum ne aatish mein bhi gulzar ka naqsha dekha
main hi ghamgin nahin tark-e-talluq pe 'kamal'
wo bhi nashad tha us ko bhi fasurda dekha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 371)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.