yas ko tegh-e-mashq se kaTe
yaas ko teġh-e-mashq se kaaTe
koī is naam ko likhe kaaTe
merī āñkhoñ ke sāmne kaaTe
jab tirā aks aa.ine kaaTe
zindagī kī zamīn meñ ham ne
ashk bo.e the qahqahe kaaTe
kuchh to raftār bhī mirī kam thī
kuchh duāoñ ne hādse kaaTe
merī āvāz kī rasā.ī ne
ḳhāmushī ke muġhālate kaaTe
saare chālān husn vāloñ ne
ishq ke barrier tale kaaTe
mere būḌhe badan pe tanz na kar
jab javāñ thā baḌe maze kaaTe
koī naqqād hai yahāñ varna
kaT ga.e kaise harf be-kāTe
ham ne kāġhaz ke khet meñ 'hasrat'
fikr boī thī qāfiye kaaTe
yas ko tegh-e-mashq se kaTe
koi is nam ko likhe kaTe
meri aankhon ke samne kaTe
jab tera aks aaine kaTe
zindagi ki zamin mein hum ne
ashk boe the qahqahe kaTe
kuchh to raftar bhi meri kam thi
kuchh duaon ne hadse kaTe
meri aawaz ki rasai ne
KHamushi ke mughaalate kaTe
sare chaalan husn walon ne
ishq ke barrier tale kaTe
mere buDhe badan pe tanz na kar
jab jawan tha baDe maze kaTe
koi naqqad hai yahan warna
kaT gae kaise harf be-kaTe
hum ne kaghaz ke khet mein 'hasrat'
fikr boi thi qafiye kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.