yas-o-gham mein ai milan ki aas ke aansu chamak
yās-o-ġham meñ ai milan kī aas ke aañsū chamak
'aql kī zulmat meñ ai ehsās ke jugnū chamak
dil rahīn-e-yās hai mahsūs hotī haiñ udaas
chāñdnī shoḳhī hayā shabnam adā ḳhushbū chamak
phīkī phīkī be-maza be-nūr sī hai zindagī
'aql kī shoḳhī damak ai husn ke jaadū chamak
apnī chanchaltā se mere pyaar ko chamkā ga.ī
tere albele nashīle ruup kī dil-jū chamak
haar kar tadbīr ne taqdīr se kah hī diyā
maan bhī jā maiñ to chamkī huuñ bahut ab tū chamak
zindagī meñ ho kabhī to koī hangāma bapā
jazba-e-āvāra-o-shoḳh-e-dil-e-yaksū chamak
aise chamkātā hai qalb-e-zār ko terā ḳhayāl
jaise dasht-e-tīra ko de dīda-e-āhū chamak
chīrnā hai be-hisī kī gahrī zulmat ko tujhe
aur abhī is taur se ai dashna-e-abrū chamak
tere tevar zevar-e-ehsās haiñ almās haiñ
yaad ke kohre meñ soz-o-kāvish-e-pahlū chamak
ai fusūn-e-rāz jalvat-sāz ai ḳhalvat-navāz
pyaar kī āvāz pā-e-nāz ke ghuñghrū chamak
'krishn-mohan' ke dukhī man par añdherā chhā gayā
ruup kī dhuup ai birah ke dard kī daarū chamak
yas-o-gham mein ai milan ki aas ke aansu chamak
'aql ki zulmat mein ai ehsas ke jugnu chamak
dil rahin-e-yas hai mahsus hoti hain udas
chandni shoKHi haya shabnam ada KHushbu chamak
phiki phiki be-maza be-nur si hai zindagi
'aql ki shoKHi damak ai husn ke jadu chamak
apni chanchalta se mere pyar ko chamka gai
tere albele nashile rup ki dil-ju chamak
haar kar tadbir ne taqdir se kah hi diya
man bhi ja main to chamki hun bahut ab tu chamak
zindagi mein ho kabhi to koi hangama bapa
jazba-e-awara-o-shoKH-e-dil-e-yaksu chamak
aise chamkata hai qalb-e-zar ko tera KHayal
jaise dasht-e-tira ko de dida-e-ahu chamak
chirna hai be-hisi ki gahri zulmat ko tujhe
aur abhi is taur se ai dashna-e-abru chamak
tere tewar zewar-e-ehsas hain almas hain
yaad ke kohre mein soz-o-kawish-e-pahlu chamak
ai fusun-e-raaz jalwat-saz ai KHalwat-nawaz
pyar ki aawaz pa-e-naz ke ghunghru chamak
'krishn-mohan' ke dukhi man par andhera chha gaya
rup ki dhup ai birah ke dard ki daru chamak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.