yas-o-hasrat ki zarb kari hai
yās-o-hasrat kī zarb kaarī hai
har tabassum meñ be-qarārī hai
vaqt se koī bach nahīñ saktā
vaqt sab se baḌā shikārī hai
ik mohabbat pe zo'm thā ham ko
in dinoñ ye bhī kārobārī hai
zabt kam hai na kam ġham-e-daurāñ
baar ke saath burdbārī hai
'ishq apnā mizāj rakhtā hai
be-ḳhudī hai na hoshiyārī hai
lene vaalā yahāñ tavangar hai
dene vaalā yahāñ bhikārī hai
dhuul uḌne lagī hai āñkhoñ meñ
shāyad ab āñsuoñ kī baarī hai
tang-dastī meñ aap kī yādeñ
qaht meñ jaise buuñd baarī hai
kis ne toḌā hai dil tirā 'irfān'
kyoñ tabī'at meñ inkisārī hai
yas-o-hasrat ki zarb kari hai
har tabassum mein be-qarari hai
waqt se koi bach nahin sakta
waqt sab se baDa shikari hai
ek mohabbat pe zo'm tha hum ko
in dinon ye bhi karobari hai
zabt kam hai na kam gham-e-dauran
bar ke sath burdbari hai
'ishq apna mizaj rakhta hai
be-KHudi hai na hoshiyari hai
lene wala yahan tawangar hai
dene wala yahan bhikari hai
dhul uDne lagi hai aankhon mein
shayad ab aansuon ki bari hai
tang-dasti mein aap ki yaaden
qaht mein jaise bund bari hai
kis ne toDa hai dil tera 'irfan'
kyon tabi'at mein inkisari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.