Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yas-o-umid-o-shadi-o-gham ne dhum uThai sine mein

Insha Allah Khan Insha

yas-o-umid-o-shadi-o-gham ne dhum uThai sine mein

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    yās-o-umīd-o-shādī-o-ġham ne dhuum uThā.ī siine meñ

    ḳhuub mujhe hai aaj dhamā-dham mār-kuTā.ī siine meñ

    diid kiyā jo vādī-e-majnūñ ham ne dhun meñ vahshat ke

    shakl mujassam ho ke junūñ aan samā.ī siine meñ

    shaiḳh-o-brahman dair-o-haram meñ DhūñDhte ho kyā lā-hāsil

    muuñd ke āñkheñ dekho to hai saarī ḳhudā.ī siine meñ

    qahr kiyā ye tum ne sāhab aañkh laḌānā aafat thā

    jhaT-paT dil ko phūñk diyā aur aag lagā.ī siine meñ

    hazrat-e-dil to kab ke sidhāre ḳhuub jo DhūñDā 'inshā' ne

    ek dhuāñ aah uTThā ḳhaak na paa.ī siina meñ

    yas-o-umid-o-shadi-o-gham ne dhum uThai sine mein

    KHub mujhe hai aaj dhama-dham mar-kuTai sine mein

    did kiya jo wadi-e-majnun hum ne dhun mein wahshat ke

    shakl mujassam ho ke junun ki aan samai sine mein

    shaiKH-o-brahman dair-o-haram mein DhunDhte ho kya la-hasil

    mund ke aankhen dekho to hai sari KHudai sine mein

    qahr kiya ye tum ne sahab aankh laDana aafat tha

    jhaT-paT dil ko phunk diya aur aag lagai sine mein

    hazrat-e-dil to kab ke sidhaare KHub jo DhunDa 'insha' ne

    ek dhuan sa aah ka uTTha KHak na pai sina mein

    Source :
    • Kulliyat-e-inshaallah khan insha
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now