yad-e-baiza ruKH-e-yusuf dil-e-mansur hote hain
yad-e-baizā ruḳh-e-yūsuf dil-e-mansūr hote haiñ
jo tū dekhe to zarre bhī charāġh-e-tūr hote haiñ
gar is nukte ko kuchh samjhā to sarv-e-pā-ba-gil samjhā
ki bāġh-e-dahr meñ āzād bhī majbūr hote haiñ
shabāb-e-mast kī Dhaltī huī tārīk rātoñ par
sahar hañstī hai yā mū-e-siyah kāfūr hote haiñ
ho sadd-e-rāh kyoñ tere liye sang-e-vajūd apnā
tū bebākāna pā-e-nāz uThā ham duur hote haiñ
ye mai-ḳhāna hai ai shaiḳh-e-haram laġhzīda-pā ho jā
ki ik Thokar se paidā is jagah sau tuur hote haiñ
sar-e-jamshed ko ḳhisht-e-ḳhum-e-sahbā se Takrā deñ
gadā-e-mai-kada bhī kis qadar maġhrūr hote haiñ
hiqārat kī nazar se ḳhirqa-poshoñ ko na dekh ai dil
ki aksar in meñ apne ahd ke mansūr hote haiñ
muhayyā sang-e-dar ai nā-murād-e-zindagī kar le
ki jiine kī tarah marne ke bhī dastūr hote haiñ
na ho ḳhūn-e-jigar jin meñ na āvāz-e-shikast-e-dil
vo aañsū huuñ ki naale 'faiz' nā-manzūr hote haiñ
yad-e-baiza ruKH-e-yusuf dil-e-mansur hote hain
jo tu dekhe to zarre bhi charagh-e-tur hote hain
gar is nukte ko kuchh samjha to sarw-e-pa-ba-gil samjha
ki bagh-e-dahr mein aazad bhi majbur hote hain
shabab-e-mast ki Dhalti hui tarik raaton par
sahar hansti hai ya mu-e-siyah kafur hote hain
ho sadd-e-rah kyon tere liye sang-e-wajud apna
tu bebakana pa-e-naz uTha hum dur hote hain
ye mai-KHana hai ai shaiKH-e-haram laghzida-pa ho ja
ki ek Thokar se paida is jagah sau tur hote hain
sar-e-jamshed ko KHisht-e-KHum-e-sahba se Takra den
gada-e-mai-kada bhi kis qadar maghrur hote hain
hiqarat ki nazar se KHirqa-poshon ko na dekh ai dil
ki aksar in mein apne ahd ke mansur hote hain
muhayya sang-e-dar ai na-murad-e-zindagi kar le
ki jine ki tarah marne ke bhi dastur hote hain
na ho KHun-e-jigar jin mein na aawaz-e-shikast-e-dil
wo aansu hun ki nale 'faiz' na-manzur hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.