yahan aaghaz aur anjam badle ja rahe hain
yahāñ āġhāz aur anjām badle jā rahe haiñ
ki jaise mai-kashoñ meñ jaam badle jā rahe haiñ
taraqqī aur ḳhush-hālī ke din bhī aur kyā hoñ
purānī bastiyoñ ke naam badle jā rahe haiñ
muhāfiz rāhzan ho aur zālim pārsā ho
sunā hai aadmī ke kaam badle jā rahe haiñ
nayā maz.hab na.ī puujā ḳhudā bhī ab na.e hoñ
sanam-ḳhānoñ ke sab asnām badle jā rahe haiñ
mutābiq ab nahīñ shāyad hamārī soch ke vo
buzurgoñ ke sabhī paiġhām badle jā rahe haiñ
qubūl-e-‘ām kar leñ aao ab apnī ḳhatā.eñ
sazā se ġhāliban in'ām badle jā rahe haiñ
burā.ī ko bhalā.ī kī sanad de de ke 'gauhar'
ba-nām-e-hurriyat ayyām badle jā rahe haiñ
yahan aaghaz aur anjam badle ja rahe hain
ki jaise mai-kashon mein jam badle ja rahe hain
taraqqi aur KHush-haali ke din bhi aur kya hon
purani bastiyon ke nam badle ja rahe hain
muhafiz rahzan ho aur zalim parsa ho
suna hai aadmi ke kaam badle ja rahe hain
naya mazhab nai puja KHuda bhi ab nae hon
sanam-KHanon ke sab asnam badle ja rahe hain
mutabiq ab nahin shayad hamari soch ke wo
buzurgon ke sabhi paigham badle ja rahe hain
qubul-e-‘am kar len aao ab apni KHataen
saza se ghaaliban in'am badle ja rahe hain
burai ko bhalai ki sanad de de ke 'gauhar'
ba-nam-e-hurriyat ayyam badle ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.