yahan bas dekhte hain kaun kitna shor karta hai
yahāñ bas dekhte haiñ kaun kitnā shor kartā hai
sunī jaatī hai us kī jo ziyāda shor kartā hai
mujhe lagtā hai maiñ phir hijr ke sahrā se guzrūñgā
mirī āñkhoñ meñ phir se ek dariyā shor kartā hai
kabhī mujh ko mirī apnī sadā tak bhī nahīñ aatī
kabhī ye dil mire siine meñ itnā shor kartā hai
tumhārī be-lihāzī se yūñhī dil meñ ḳhayāl aaya
agar kaase meñ sikke hoñ to kaasa shor kartā hai
nigalne aate haiñ jo azhdahe dikhte nahīñ ham ko
magar ik shāḳh par baiThā parinda shor kartā hai
churā luuñ ḳhvāb meñ aa.e hue us shaḳhs ko maiñ to
magar mere muqaddar kā sitārā shor kartā hai
unhīñ ke qadmoñ kī aahaT falak se aatī hai sab ko
vo jin ke ḳhuun meñ puḳhta irāda shor kartā hai
rageñ saare badan kī TūTtī mahsūs hotī haiñ
kuchh itne zor se us kā sarāpā shor kartā hai
ajab nisbat kī dekhī haiñ karishma-sāziyāñ 'irfān'
utar kar tan se bhī is kā labāda shor kartā hai
yahan bas dekhte hain kaun kitna shor karta hai
suni jati hai us ki jo ziyaada shor karta hai
mujhe lagta hai main phir hijr ke sahra se guzrunga
meri aankhon mein phir se ek dariya shor karta hai
kabhi mujh ko meri apni sada tak bhi nahin aati
kabhi ye dil mere sine mein itna shor karta hai
tumhaari be-lihazi se yunhi dil mein KHayal aaya
agar kase mein sikke hon to kasa shor karta hai
nigalne aate hain jo azhdahe dikhte nahin hum ko
magar ek shaKH par baiTha parinda shor karta hai
chura lun KHwab mein aae hue us shaKHs ko main to
magar mere muqaddar ka sitara shor karta hai
unhin ke qadmon ki aahaT falak se aati hai sab ko
wo jin ke KHun mein puKHta irada shor karta hai
ragen sare badan ki TuTti mahsus hoti hain
kuchh itne zor se us ka sarapa shor karta hai
ajab nisbat ki dekhi hain karishma-saziyan 'irfan'
utar kar tan se bhi is ka labaada shor karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.