yahan bhi tu hai wahan bhi tu hai kahan nahin hai kidhar nahin hai
yahan bhi tu hai wahan bhi tu hai kahan nahin hai kidhar nahin hai
Akhlaque Bandvi
MORE BYAkhlaque Bandvi
yahāñ bhī tū hai vahāñ bhī tū hai kahāñ nahīñ hai kidhar nahīñ hai
na phir bhī dekhe jo terā jalva vo shaḳhs ahl-e-nazar nahīñ hai
vo qa.ar-e-dariyā ho yā kinārā har ek jā maiñ ne chhān maarā
mizha pe larzāñ sarishk jaisā kahīñ bhī koī guhar nahīñ hai
badan agarche javāñ javāñ hai ragoñ ke andar lahū ravāñ hai
fuzūl sab hai jo bahr-e-dil meñ zuhūr-e-madd-o-jazar nahīñ hai
huzūr chaliye sañbhal sañbhal ke qadam zarā aur halke halke
ḳhayāl rakhiye ye merā dil hai ye aap kī rahguzar nahīñ hai
ga.ī bahāroñ ke raag chheḌo ḳhizāñ rutoñ kī parat udheḌo
tumhārī bazm-e-tarab meñ saaqī abhī mirī chashm-e-tar nahīñ hai
maiñ apnā har kaam apnī had meñ baḌe tayaqqun se kar rahā huuñ
mirī luġhat ke kisī varaq par agar nahīñ hai magar nahīñ
abhī talak us ke rū-e-zebā pe merī nazreñ Tikī huī haiñ
use bhī hai ye gumān-e-ġhālib ki aa.ine ko ḳhabar nahīñ hai
jo bad-chalan thā zamāne bhar kā vahī fazīlat-ma.āb Thahrā
usī ko dastār dī ga.ī hai ki jis ke shāne pe sar nahīñ hai
kabhī jo ghar se safar pe niklo ye baat qirtās-e-dil pe likh lo
ki har sharīk-e-safar hamārā haqīqatan ham-safar nahīñ hai
isī meñ 'aḳhlāq' umr bhar kī masāfatoñ kā hai raaz pinhāñ
ye ek lamha jo vasl kā hai ye sā.at-e-muḳhtasar nahīñ hai
yahan bhi tu hai wahan bhi tu hai kahan nahin hai kidhar nahin hai
na phir bhi dekhe jo tera jalwa wo shaKHs ahl-e-nazar nahin hai
wo qar-e-dariya ho ya kinara har ek ja main ne chhan mara
mizha pe larzan sarishk jaisa kahin bhi koi guhar nahin hai
badan agarche jawan jawan hai ragon ke andar lahu rawan hai
fuzul sab hai jo bahr-e-dil mein zuhur-e-madd-o-jazar nahin hai
huzur chaliye sanbhal sanbhal ke qadam zara aur halke halke
KHayal rakhiye ye mera dil hai ye aap ki rahguzar nahin hai
gai bahaaron ke rag chheDo KHizan ruton ki parat udheDo
tumhaari bazm-e-tarab mein saqi abhi meri chashm-e-tar nahin hai
main apna har kaam apni had mein baDe tayaqqun se kar raha hun
meri lughat ke kisi waraq par agar nahin hai magar nahin
abhi talak us ke ru-e-zeba pe meri nazren Tiki hui hain
use bhi hai ye guman-e-ghaalib ki aaine ko KHabar nahin hai
jo bad-chalan tha zamane bhar ka wahi fazilat-maab Thahra
usi ko dastar di gai hai ki jis ke shane pe sar nahin hai
kabhi jo ghar se safar pe niklo ye baat qirtas-e-dil pe likh lo
ki har sharik-e-safar hamara haqiqatan ham-safar nahin hai
isi mein 'aKHlaq' umr bhar ki masafaton ka hai raaz pinhan
ye ek lamha jo wasl ka hai ye saat-e-muKHtasar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.