yahan daraKHt the saya tha kuchh dinon pahle
yahan daraKHt the saya tha kuchh dinon pahle
Saeeduzzamaan Abbasi
MORE BYSaeeduzzamaan Abbasi
yahāñ daraḳht the saaya thā kuchh dinoñ pahle
ajiib ḳhvāb sā dekhā thā kuchh dinoñ pahle
ye kyā huā ki ab apnā bhī e.atibār nahīñ
hameñ to sab kā bharosā thā kuchh dinoñ pahle
hamāre ḳhuun rag-e-jāñ kī lāla-kārī se
jo aaj baaġh hai sahrā thā kuchh dinoñ pahle
usī ufuq se nayā āftāb ubhregā
jahāñ charāġh jalāyā thā kuchh dinoñ pahle
abhī qarīb se guzrā hai ajnabī kī tarah
vo ek shaḳhs jo apnā thā kuchh dinoñ pahle
jinheñ darīda-dahan kah ke hoñT siite ho
unheñ suḳhan kā salīqa thā kuchh dinoñ pahle
yahan daraKHt the saya tha kuchh dinon pahle
ajib KHwab sa dekha tha kuchh dinon pahle
ye kya hua ki ab apna bhi eatibar nahin
hamein to sab ka bharosa tha kuchh dinon pahle
hamare KHun rag-e-jaan ki lala-kari se
jo aaj bagh hai sahra tha kuchh dinon pahle
usi ufuq se naya aaftab ubhrega
jahan charagh jalaya tha kuchh dinon pahle
abhi qarib se guzra hai ajnabi ki tarah
wo ek shaKHs jo apna tha kuchh dinon pahle
jinhen darida-dahan kah ke honT site ho
unhen suKHan ka saliqa tha kuchh dinon pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.