yahan dekhun wahan dekhun jahan dekhun main kya dekhun
yahan dekhun wahan dekhun jahan dekhun main kya dekhun
Gitesh Dube Geet
MORE BYGitesh Dube Geet
yahāñ dekhūñ vahāñ dekhūñ jahāñ dekhūñ maiñ kyā dekhūñ
kabhī ḳhud meñ tujhe dekhūñ kabhī tujh meñ ḳhudā dekhūñ
ġharaz ḳhud se nahīñ koī na chāhat hai zamāne kī
kahāñ hastī mirī phir jo tujhe ḳhud se judā dekhūñ
mohabbat kī nazar meñ yaar likkhī ho mohabbat bas
kabhī dekhūñ maiñ ḳhud ko to kabhī us kī vafā dekhūñ
na.ī manzil na.ī sūrat nayā manzar mirī fitrat
badaltā huuñ maiñ roz-o-shab Thikāna bhī nayā dekhūñ
vo ulfat kī nigāheñ hoñ vo chehroñ pe tabassum ho
muqaddas se darūñ dil pe likhā naame vafā dekhūñ
nafāsat aah bhartī hai zalālat khilkhilātī hai
ye be-adabī kī duniyā meñ kabhī ḳhud ko tanā dekhūñ
ye ik duniyā dikhe bāhar vo ik duniyā mire bhītar
batā mujh ko mire mālik kahāñ apnā patā dekhūñ
yahan dekhun wahan dekhun jahan dekhun main kya dekhun
kabhi KHud mein tujhe dekhun kabhi tujh mein KHuda dekhun
gharaz KHud se nahin koi na chahat hai zamane ki
kahan hasti meri phir jo tujhe KHud se juda dekhun
mohabbat ki nazar mein yar likkhi ho mohabbat bas
kabhi dekhun main KHud ko to kabhi us ki wafa dekhun
nai manzil nai surat naya manzar meri fitrat
badalta hun main roz-o-shab Thikana bhi naya dekhun
wo ulfat ki nigahen hon wo chehron pe tabassum ho
muqaddas se darun dil pe likha name wafa dekhun
nafasat aah bharti hai zalalat khilkhilati hai
ye be-adabi ki duniya mein kabhi KHud ko tana dekhun
ye ek duniya dikhe bahar wo ek duniya mere bhitar
bata mujh ko mere malik kahan apna pata dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.