yahan dikhte nahin hain milne ke aasar shahzadi
yahāñ dikhte nahīñ haiñ milne ke āsār shahzādī
chalo chalte haiñ ab is mulk se ham paar shahzādī
are ab toḌ do nafrat kī ye dīvār shahzādī
vafā ke vāste hī pheñk do talvār shahzādī
rahe tū saath to jaltā rahūñ maiñ umr bhar yuuñ hī
binā tere mirī ye zindagī hai ḳhaar shahzādī
agar tū chāhtī hai maiñ banūñ na qais merī jaan
to phir tū chhoḌ mere vāste ghar-bār shahzādī
ġhalat hogā nahīñ tum ko rakhūñ gar benazīroñ meñ
munāsib hai ho tum is chiiz kī haqdār shahzādī
yahan dikhte nahin hain milne ke aasar shahzadi
chalo chalte hain ab is mulk se hum par shahzadi
are ab toD do nafrat ki ye diwar shahzadi
wafa ke waste hi phenk do talwar shahzadi
rahe tu sath to jalta rahun main umr bhar yun hi
bina tere meri ye zindagi hai KHar shahzadi
agar tu chahti hai main banun na qais meri jaan
to phir tu chhoD mere waste ghar-bar shahzadi
ghalat hoga nahin tum ko rakhun gar benaziron mein
munasib hai ho tum is chiz ki haqdar shahzadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.