yahan hansne pe bhi chehre ki virani nahin jati
yahan hansne pe bhi chehre ki virani nahin jati
Zaheer-ul-Hasan Tishna
MORE BYZaheer-ul-Hasan Tishna
yahāñ hañsne pe bhī chehre kī vīrānī nahīñ jaatī
vo afsurda bhī rahte haiñ to tābānī nahīñ jaatī
jigar meñ dil meñ āñkhoñ meñ tasavvur meñ taḳhayyul meñ
nihāñ ho kar bhī un kī jalva-sāmānī nahīñ jaatī
hazāroñ baar rusvā ho ke aaya un kī mahfil se
dil-e-nādāñ kī dekho phir bhī nādānī nahīñ jaatī
abhī shabnam abhī sho.ala abhī gul thī abhī kāñTā
sitam-rānī mohabbat kī sitam-rānī nahīñ jaatī
tamanna ārzūeñ hasrateñ sab ho ga.iiñ ruḳhsat
magar ik yaad hai un kī jo dīvānī nahīñ jaatī
mirī sūrat na pahchānī to kuchh hairat nahīñ lekin
mirī āvāz bhī kyā tum se pahchānī nahīñ jaatī
ḳhushī to hai nahīñ aakar jo pal bhar meñ chalī jaa.e
mire ġham kī kabhī tishna farāvānī nahīñ jaatī
yahan hansne pe bhi chehre ki virani nahin jati
wo afsurda bhi rahte hain to tabani nahin jati
jigar mein dil mein aankhon mein tasawwur mein taKHayyul mein
nihan ho kar bhi un ki jalwa-samani nahin jati
hazaron bar ruswa ho ke aaya un ki mahfil se
dil-e-nadan ki dekho phir bhi nadani nahin jati
abhi shabnam abhi shoala abhi gul thi abhi kanTa
sitam-rani mohabbat ki sitam-rani nahin jati
tamanna aarzuen hasraten sab ho gain ruKHsat
magar ek yaad hai un ki jo diwani nahin jati
meri surat na pahchani to kuchh hairat nahin lekin
meri aawaz bhi kya tum se pahchani nahin jati
KHushi to hai nahin aakar jo pal bhar mein chali jae
mere gham ki kabhi tishna farawani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.