Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yahan har shaKHs apne ghar se kam bahar nikalta hai

Imdad Akash

yahan har shaKHs apne ghar se kam bahar nikalta hai

Imdad Akash

MORE BYImdad Akash

    yahāñ har shaḳhs apne ghar se kam bāhar nikaltā hai

    badan kho baiThne ke Dar se kam bāhar nikaltā hai

    koī saudā mire sar meñ samātā nahīñ lekin

    samā jaa.e to phir vo sar se kam bāhar nikaltā hai

    jahāñ sūraj baras meñ ek do din chamaktā ho

    vahāñ saaya kisī paikar se kam bāhar nikaltā hai

    zamīneñ Duub jaanā chāhtī haiñ pyaas aisī hai

    magar sailāb sāgar se kam bāhar nikaltā hai

    vo jis haivān ko patthar ke andar rizq miltā ho

    vo patthar hai aur patthar se kam bāhar nikaltā hai

    na jaane kitnī āvāzeñ bulātī haiñ use lekin

    ye sannāTā mire andar se kam bāhar nikaltā hai

    abhī ākāsh rishta nahīñ TuuTā zamīnoñ se

    magar vo abr chādar se kam bāhar nikaltā hai

    yahan har shaKHs apne ghar se kam bahar nikalta hai

    badan kho baiThne ke Dar se kam bahar nikalta hai

    koi sauda mere sar mein samata hi nahin lekin

    sama jae to phir wo sar se kam bahar nikalta hai

    jahan suraj baras mein ek ya do din chamakta ho

    wahan saya kisi paikar se kam bahar nikalta hai

    zaminen Dub jaana chahti hain pyas aisi hai

    magar sailab hi sagar se kam bahar nikalta hai

    wo jis haiwan ko patthar ke andar rizq milta ho

    wo patthar ka hai aur patthar se kam bahar nikalta hai

    na jaane kitni aawazen bulati hain use lekin

    ye sannaTa mere andar se kam bahar nikalta hai

    abhi aakash ka rishta nahin TuTa zaminon se

    magar wo abr ki chadar se kam bahar nikalta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now